Munir Niazi > Poetry

raat falak par rang-birangii aag ke gole chhuuTe

 

 

raat falak par rang-birangii aag ke gole chhuuTe
phir baarish vo zor se barsii mahek uThThe gul-buuTe

us kii aaNkh ke jaaduu kii har aik kahaanii sacchii
mere dil ke KhuuN hone ke sab afsaane jhuuTe

pahle-pahal to jii na lagaa pardes ke in logoN meN
raftaa-raftaa apne hii ghar se saare naate TuuTe

ye to sach hai sab ne mil kar dil-jo'ii bhii kii thii
apnii rusvaa'ii ke maze bhii sab yaadoN ne luuTe

maiN jo "Munir" ek kamre kii khiRkii ke paas se guzraa
us kii chiq kii tiiliyoN se resham ke shiGhuufe phhuTe

(falak : sky, heaven) (raftaa-raftaa : slowly) (dil-jo'ii : sympathize; rusvaa'ii : disgrace) (shiGhuufe : flowers)

 

Back