Munir Niazi > Poetry

ko'ii daaGh hai mere naam par

 

 

ko'ii daaGh hai mere naam par
ko'ii saayaa mere kalaam par

ye pahaaR hai mere saamne
ke kitaab manzar-e-aam par

kisii intizaar-e-nazar meN hai
ko'ii roshnii kisii baam par

ye nagar parindoN kaa Ghol hai
jo giraa hai daana-o-daam par

Gham-e-Khaas par kabhii chup rahe
kabhii ro diye Gham-e-aam par

hai "Munir" hairat mustaqil
maiN khaRaa huuN aise muqaam par

(daaGh : blemish) (manzar-e-aam : in public)

(baam : terrace) (Ghol : nest) (mustaqil : continously; muqaam : situation)

 

Back