Munir Niazi > Poetry

jaaduugar

 

 

jab meraa jii chaahe maiN jaaduu ke khel dikhaa saktaa huuN
aaNdhii ban kar chal saktaa huuN, baadal ban kar chhaa saktaa huuN
haath ke aik ishaare se paanii meN aag lagaa saktaa huuN
raakh ke DheR se taazah rangoN-vaale phuul ugaa saktaa huuN
itne uuNche aasmaan ke taare toR ke laa saktaa huuN

merii umr to bas aise hii khel dikhaate guzrii hai
apnii saaNs ke shoaloN se gulzaar khilaate guzrii hai
jhuuTii sacchii baatoN ke baazaar sajaate guzrii hai
patthar kii diivaaroN ko sangiit sunaate guzrii hai
apne dard ko duniyaa kii nazroN se chhupaate guzrii hai

(gulzaar : garden)

 

Back