Faiz Ahmed Faiz > Poetry > Dasht-e-tanhaii Mein

Dasht-e-tanhaii Mein

In the wasteland of solitude, my love, quiver

Translation by Zafar Iqbal Syed

dasht-e-tanhaii mein ai jaan-e-jahaaN larzaaN hain
teri aawaaz ke saaye, tere hontoN ke saraab
dasht-e-tanhaii mein doori ke khas-o-khaak kitne
khil rahe hain tere pehloo ke saman aur gulaab

uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
apni khushboo se sulagti madham madham
door ufqaar chamakti hui qatraa qatraa
khil rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

kis qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakha hai
dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath
yun gumaaN hota hai garche abhi subh-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din, aa bhi gayi wasl ki raat

In the wasteland of solitude, my love, quiver
shadows of your voice, illusions of your lips.
In the wasteland of solitude, from the dusts of parting
Sprout jasmines and roses of your presence

From somewhere close by, rises the warmth of your breath
and in its own aroma smolders, slowly, bit by bit.
Far-off, across the horizon, drop by glistening drop
Falls the dew of your beguiling glance.

With such overwhelming love, O my love,
your memory has placed its hand on my heart's cheek,
that it looks as if (though it's still the dawn of the adieu)
the sun of parting has set; the night of union has come.

Back