vo to Khushbuu hai havaaoN meN bikhar jaayegaa
mas'alaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa
(mas'alaa : problem, issue)
ham to samjhe the ke ek zaKhm hai, bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN meN utar jaayegaa
(rag-e-jaaN : become veined, obstinate)
vo havaaoN kii tarah Khaanaa-bajaaN phirtaa hai
ek jhoNkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa
(Khaanaa-bajaaN : ruined and lifeless)
vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aaNgan meN Thaher jaayegaa
(rafaaqat : friendship; mausam-e-gul : season flower; aaNgan : courtyard)
aaKhirash vo bhii kahiiN ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa
(aaKhirash : ultimately; ret : sand) |