Amrita Pritam
(1919 - 2005)

Ishq ne puchha

Ishq ne puchha bata ri jindgi
Vaqt kaise gujarta raha.
Vah kahne lagi-
Tere sapno ke haathon ko
Mehandi lagaati rahi.
Ishq jinki jati hoti hai,
Ve kanto ki sej par soti hain,
Umar ke is kagaj par
Tere ishaq ne anguntha laga diya
Iska hisab kaun chukayega'.

Ambar kee ek paak Surahee

Ambar kee ek paak Surahee
Baadal ka ek jam uthakar
Ghoont chandani pee hai humne
Baat kufra kee kee hai humne!
Kaise iska karz chukayen,
Mang ke apnee maut ke hathon
Yeh jo zindagi lee hai humne
Baat kufra kee kee hai humne!

Apna isme kuch bhee nahin hai
Roje-ajal se uskee amanat
Usko wahi to dee hai humne
Baat kufra kee kee hai humne!

Mera ghar

Aaj meine apne ghar ka nambar hatya hai
Aur gali ke mathe par laga
Gali ka naam hataya hai
Aur jar sadak kee
Disha ka naam ponch diya hai
Par agar apko mujhe jarur pana hai
To har desh ke har shahr kee
Har gali ka dwar khatkhatao
Ye ek shaap hai, yeh ek var hai
Aur jahan bhee azad ruh kee jhalak parhe
Samjhna wahee mera ghar hai

Mari seza hajir hai

 Meri seza hajir hai
Par jute aur kameej kee tarah
Tu apna badan bhee utar de
Udhar mudhe par rakh de
Koi khas baat nahin
Yeh apne apne desh ka rivaj hai